kaisa hai zamane ka chalan dekh zara dekh
yaron ke hai mathe pe shikan dekh zara dekh
parde ki haqiqat se hue duur musalman
poshak men bhi nange badan dekh zara dekh
aulad ki ḳhatir sabhi maan baap yahan par
kya kya nahin karte hain jatan dekh zara dekh
ghar baar ki fikren ab unhen raund rahi hain
jo log the sarmaya-e-fan dekh zara dekh
jo ahl tha mahrum raha daad se lekin
kis ko hai mili dad-e-suḳhan dekh zara dekh
jiddat kahe jaata hai tu gumrahi ko paiham
apna bhi to andaz-e-suḳhan dekh zara dekh
ye ratjage ankhon ko bhi viran na kar den
‘anjum’ miri ankhon men thakan dekh zara dekh
Leave a Reply