‘shamsa’ ne sha.iri men ajab silsila kiya
lafzon men qaid-e-zist ka har mas.ala kiya
bas ham mohabbaton men hazimat na sah sake
ik umr apni haar pe dil aabla kiya
teri mohabbaton ki na aadat rahi mujhe
muddat ke ba.ad kaahe tu ne rabta kiya
buniyad mere ghar ki hila di gila nahin
dil men paḌa shigaf jo us ka gila kiya
tum tai na kar sake jo vafaon ki manzilen
tab iḳhtiyar ham ne juda rasta kiya
jab yaad jo karun main to hichki tumhen lage
dekho to dil ne dil se kahan rabta kiya
kahne ko zindagi hai bahut muḳhtasar yahan
tai main ne ik tavil magar fasla kiya
Leave a Reply