maut kis raah par khadi meri raah dekh rahi hai
abhi abhi main ne hava ki an dekhi chadar men surakh kiya hai
aur bahut uupar ke badalon ko chhalni kar diya hai
zamin bhar ki vo saari mitti
jo an-ginat dafn hone valon
ki kimiya se bani hai
aur charon dishaon men
an-ginat badan jalon ki chitaon ki jo raakh bani hai
kahan le jaegi mujhe
main to ab vo huun hi nahin jo kabhi hua karta tha
ab na to men kabhi sota huun aur na kabhi jagta huun
main na paanv chalta huun na main qadam-sakin huun
maut mere paanv ke bina chal sakti hai
maut mere qadam ke bina sakin ho sakti hai
ab ghilaf-e-zindagi ki koi bhi ek parat rah gai ho
to use zindagi se hata diya jaae
jab uqaab unchi udaan par ho
to us ki aankh men koi sui chubhoi nahin ja sakti
maut ne mujhe uqaab bana diya hai
ya shayad mujhe kisi farishte men tabdil kar diya hai
ab mujhe zamin par ya zamin ki fuzul duniya ki sat.h par dhunda na jaae
main ab kisi ki dastaras men nahin ho
Leave a Reply