Kahani Yun Adhuri Chal Rahi Hai

kahānī yuuñ adhūrī chal rahī hai

hamāre beach duurī chal rahī hai

hameñ pīchhe dhakelā jā rahā hai

ye koshish bhī shu.ūrī chal rahī hai

nahīñ sunñā kisī ne sher koī

yahāñ par jī-huzūrī chal rahī hai

zamīñ aur āsmāñ ke darmiyāñ to

koī nisbat zarūrī chal rahī hai

mukammal zikr us kā ho chukā hai

ġhazal phir bhī adhūrī chal rahī hai

Leave a Comment