• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Unki Taswir dekh Kar

Unki Taswir dekh Kar

shakeel-badayuni

aaj kya hai jo mila shokh nigahon ko qarar?

kya hua husn ki maasum hayaon ka vaqar

aaj kyuun tum mujhe dekhe hi chale jaate ho?

dafatan tuut gaya kis liye bajta hua saaz

kya hue naghme vo ab kyuun nahin aati avaz

aaj honton pe khamoshi hi khamoshi kyuun hai?

khuub tadbir nikali hai manane ki mujhe

atish-e-soz-e-mohabbat men jalane ki mujhe

bhole-bhale ho to de do mire shikvon ka javab

tum ne kya peshtar apna na banaya mujh ko

phir yakayak na nigahon se giraya mujh ko

ye agar jhuut hai to munh se kaho chup kyuun ho

tu ne ik dil ko mire dars-e-mohabbat na diya

aur phir jaan ke dagh-e-gham-e-furqat na diya

ye agar jhuut hai to munh se kaho, chup kyuun ho

tum ne kya mujh se kisi qism ka vaada na kiya

ye agar jhuut hai to munh se kaho, chup kyuun ho?

de sake tum na mire ek bhi shikve ka javab

ab main samjha ki hai kya raz-e-ba-daman-e-hijab

vaqai tum ko nadamat hai jo khamosh ho tum

ya kisi parda-e-tasvir men ru-posh ho tum!

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nur Se Lakh iKHtilaf Karo

KHWAJA GHULAM FARID

Har Surat Wichch didar dithum

waseem-barelvi

Hum Apne Aapko Ek Masala Bana Na Sake

Phir pahaDon Se Utar Kar Aaenge

Tark-E-Lazzat Pe Mail Jo Ba-Zahir Hai Mizaj

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet