ik hunar tha kamal tha kya tha
mujh men tera jamal tha kya tha
tere jaane pe ab ke kuchh na kaha
dil men dar tha malal tha kya tha
barq ne mujh ko kar diya raushan
tera aks-e-jalal tha kya tha
ham tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam
tera vaqt-e-zaval tha kya tha
jis ne tah se mujhe uchhal diya
dubne ka khayal tha kya tha
jis pe dil saare ahd bhuul gaya
bhulne ka saval tha kya tha
titliyan the ham aur qaza ke paas
surkh phulon ka jaal tha kya tha
Leave a Reply