• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shikast-E-Rang-E-Tamanna Ko Arz-E-Haal Kahun

Shikast-E-Rang-E-Tamanna Ko Arz-E-Haal Kahun

shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-hal kahun

sukut-e-lab ko taqaza-e-sad-saval kahun

hazar ruḳh tire milne ke hain na milne men

kise firaq kahun aur kise visal kahun

mujhe yaqin hai ki kuchh bhi chhupa nahin un se

unhen ye zid ki dil-e-mubtala ka haal kahun

tu be-misal sahi phir bhi dil ko hai israr

ada ada ko tiri alam-e-misal kahun

mizaj-e-mahfil-e-giti agar na barham ho

to rang-e-aish ko gard-e-ruḳh-e-malal kahun

hava ke dosh pe hai ek shola-e-larzan

kahun to kya tiri tahzib ka ma.aal kahun

vo ek ḳhvab jo tamir aap hai apni

main kya haqiqat-e-rana.i-e-ḳhayal kahun

ghazal ki baat rahegi vahin agar sau baar

javab-e-shoḳhi o rana.i-e-ghazal kahun

‘ravish’ ye sadgi-e-ishq ka taqaza hai

kamal-e-hosh ko iḳhlas ka zaval kahun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Meri Us Pyari Jhab Se Aankh Lagi

sahir-ludhianvi

dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Qarib Se

abdul-hamid-adam

Sham Hai Aur Par Naddi Ke

bahadur-shah-zafar

Humne Teri Khatir Se dil-E-Zar Bhi Chhoda

Dil Silsila-E-Shauq Ki Tashhir Bhi Chahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet