• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Motarif the Mere Shajra-E-Nasab Ke Sab

Jo Motarif the Mere Shajra-E-Nasab Ke Sab

jo mo’tarif the mire shajra-e-nasab ke sab

vo log ho ga.e ruḳhsat yahan se kab ke sab

faza-e-nisbat-o-qurbat hai gard gard magar

samajh rahe hain mire dil ka haal sab ke sab

vo log jin ki himayat men ḳhud se laḌta raha

vo log ho ga.e mere ḳhilaf ab ke sab

ravish men auron ke aslaf ki ravish na rahi

so qisse likkhe ga.e mere hi nasab ke sab

main dusron ki talab men bahal hota raha

ghulam hote rahe apni hi talab ke sab

vo harf jis se uTha hai miri nava ka ḳhamir

hain muntazir usi ik harf-e-zer-e-lab ke sab

use ḳhabar thi ki main ek shab ka mehman huun

sau band va kiye us ne qaba-e-shab ke sab

kisi riha.i ka ahval janne ke liye

sirhane baiThe hain ḳhamosh jan-ba-lab ke sab

charagh aur qalam aankh aur hairani

ye isti.are hain goya miri talab ke sab

ye ranjishen hain ‘razi’ aur hi ta.alluq se

ye silsile hain kisi aur hi tarab ke sab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ashk-E-Gul-Rang Nisar-E-Gham-E-Jaanana Karen

Jidhar Bhi Dekhen Wahi Rawayye Munafiqon Ke

Hujum-E-Gham Hai Qalb Gham-Zada Hai

poonam-yadav

Baqi Sab Kuchh duniya Mein Be-Mani Hai

Shikasta Dil Kisi Ka Ho Hum Apna Dil Samajhte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet