bagula ban ke nachta hua ye tan guzar gaya
hava men der tak uda ghubar aur bikhar gaya
hamari mitti jaane kaun zarra zarra kar gaya
baghair shakl ye vajud chaak par bikhar gaya
ye ruuh hasrat-e-vajud ki baqa ka naam hai
badan na ho saka jo khvab ruuh men thahar gaya
ajab si kashmakash tamam umr saath saath thi
rakha jo ruuh ka bharam to jism mera mar gaya
har ek raah us ke vaste thi be-qarar aur
musafir apni dhun men manzilon se bhi guzar gaya
uda di raakh jism ki khala men duur duur jab
‘alina’ asmani nuur ruuh men utar gaya
Leave a Reply