nasab ye hai ki vo dushman ko kam-nasab na kahe
ajab ye hai ki ye duniya use ajab na kahe
miri nigah junun men ye baat bhuul ga.i
ki kab kahe mire jazbat aur kab na kahe
vo barhami ki jo ik dastan thi ḳhatm hui
use kaho ki vo us se vo baat ab na kahe
vo be-zaban nahin hai to kam-nazar hoga
jo chashm o lab tire dekhe magar ghazab na kahe
use bhi hai mire jiine ki aarzu ‘shahpar’
sukun hai ki ye ash.ar be-sabab na kahe
Leave a Reply