ham ne junun-e-ishq men kufr zara nahin kiya
us se mohabbaten to kiin us ko ḳhuda nahin kiya
umr hui ki dekh kar niind uchaT ga.i thi haan
aankh ne phir kabhi raqam ḳhvab naya nahin kiya
tujh se kaha tha ḳhushbuen us ke badan ki la.iyo
mera ye kaam aaj tak tu ne saba nahin kiya
ham sa bhi is jahan men hoga na koi yarghamal
qaid se us ki aaj tak ḳhud ko riha nahin kiya
kaise kahun ki dosti tum ne nibahi dosto
tum ne kured kar koi zaḳhm hara nahin kiya
dekh to bandagi men bhi kaisa ana ka paas tha
laakh dukhon ke bavajud koi gila nahin kiya
soch rakha tha ishq se rang bharenge sher men
dil ne magar nahin kya ishq ‘ziya’ nahin kiya
Leave a Reply