vahan karta rahunga ab yahan karta rahunga
rahunga main jahan be-tabiyan karta rahunga
kabhi main asmanon ko zamin par laad dunga
kabhi apni zamin ko asman karta rahunga
mili hai zindagi mujh ko to kuchh karna hi hoga
yaqin karta rahunga ya guman karta rahunga
milega mulk-e-ḳhubi ya mata-e-sargirani
main apne naam ka sikka ravan karta rahunga
suna.unga kabhi qisse purane ma.arakon ke
kabhi tasnif tazon dastan karta rahunga
karunga kuchh jatan un ko misali bhi bana.un
agar abad taaza bastiyan karta rahunga
main ḳhud sahil pe baiThunga kinar-e-afiyat men
ijare par safinon ko ravan karta rahunga
hamen ab niind men bhi jagte rahna paḌega
ki us ne kah diya hai imtihan karta rahunga
agar likhvaoge ḳhat us ko tum mere qalam se
ye ḳhidmat muft men ai mehrban karta rahunga
rahe vo gosh-bar-avaz ya so jaa.e ‘mid.hat’
ye mera qissa-e-gham hai bayan karta rahunga
Leave a Reply