titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha
un ko chhune par khula vo raaz jo khulta na thaa!
tu vo a.ina hai jis ko dekh kar raushan hua
main ne apne-ap ko samjha kahan dekha na thaa!
chand ban kar tu mire angan men utra hai zarur
nuur itna bam-o-dar par aaj tak bikhra na thaa!
kaun se aalam men main ne aaj dekha hai tujhe
tu dhanak ban kar mire dil men kabhi utra na thaa!
saḳht-jani se mira dil bach gaya varna yahan
kaun sa patthar tha is shishe pe jo barsa na thaa!
is jahan-e-rang-o-bu ko main ne samjha tha sarab
ik haqiqat tha ye ‘arif’ aankh ka dhoka na tha
Leave a Reply