Ab Is Se baDh Ke Kya Nakaamiyan Hongi Muqaddar Mein

ab is se baḌh ke kyā nākāmiyāñ hoñgī muqaddar meñ

maiñ jab pahuñchā to koī bhī na thā maidān-e-mahshar meñ

ilāhī nahr-e-rahmat bah rahī hai is meñ Dalvā de

gunahgāroñ ke isyāñ bāñdh kar dāmān-e-mahshar meñ

khule gesū to dīdār-e-ḳhudā bhī ho gayā mushkil

qayāmat kā añdherā chhā gayā maidān-e-mahshar meñ

sharīk-e-kasrat-e-maḳhlūq tū kyuuñ ho gayā yārab

tirī vahdat kā parda kyā huā maidān-e-mahshar meñ

qayāmat to hamārī thī ham aapas meñ nibat lete

koī pūchhe ḳhudā kyuuñ aa gayā maidān-e-mahshar meñ

kisī kā ābla-pā qabr se ye pūchhtā uTThā

kahīñ thoḌe bahut kāñTe bhī haiñ maidān-e-mahshar meñ

ilāhī dard ke qisse bahut haiñ vaqt thoḌā hai

shab-e-furqat kā dāman bāñdh de dāmān-e-mahshar meñ

na uThte kushtagān-e-nāz hargiz apnī turbat se

tirī āvāz shāmil ho ga.ī thī sūr-e-mahshar meñ

tah-e-madfan mujhe rahte zamāna ho gayā ‘muztar’

kuchh aisī niiñd soyā huuñ ki ab jāgūñgā mahshar meñ

Leave a Comment