kyun-kar na laa.e rang gulistan na.e na.e
gaate hain raag murgh-e-ḳhush-alhan na.e na.e
sha.er na.e na.e hain suḳhan-dan na.e na.e
paida hue hain ab to ghazal-ḳhvan na.e na.e
dilbar mata-e-dil ke hain ḳhvahan na.e na.e
karta hai husn ishq ke saman na.e na.e
aseb-e-ishq sar se utarta nahin mire
likhta hai naqsh roz pari-ḳhvan na.e na.e
bahka ke tum ko koi laga le na raah par
nikle ho aaj ghar se miri jaan na.e na.e
zoron pe hain junun ki badaulat hamare haath
hote hain taar taar gareban na.e na.e
har roz ek vadi-e-nau sair-gah hai
vahshat dikha rahi hai bayaban na.e na.e
kis darja tang huun tire hathon se ai junun
la.un kahan se roz gareban na.e na.e
gham ka guzar hai gaah gahe ḳhurmi ka daḳhl
aate hain roz ghar mire mehman na.e na.e
surat se ik pari ki hamen ishq-e-taza hai
divane ham hue hain sulaiman na.e na.e
har martaba zamane ko hota hai inqalab
laati hai svang gardish-e-dauran na.e na.e
mulk-e-adam hai ya koi nangon ka shahr hai
har roz vaan se aate hain uryan na.e na.e
ik taaza gul ka samna hota hai har baras
deta hai daagh dil pe gulistan na.e na.e
paband ik maqam ke hote nahin hain mard
sheron ke vaste hain niyastan na.e na.e
us zulf ke ḳhayal men ankhen to band kar
dikhla.i denge ḳhvab-e-pareshan na.e na.e
kis kis tarah se chehre pe lahra ke aati hai
karti hai naaz zulf-e-pareshan na.e na.e
aThon pahar hai ab to tabahi ka samna
uThte hain roz ashk ke tufan na.e na.e
ro.ega kohna-sali men ahd-e-shabab ko
jab TuuT kar na niklenge dandan na.e na.e
phirta nahin vo dast-e-nigarin kisi tarah
karta hai zor panja-e-marjan na.e na.e
kar sair chashm-e-ghaur se jo zauq-e-sher hai
mazmun dikha.ega mira divan na.e na.e
hans hans ke baar baar na kyun-kar dikha.en aap
nam-e-ḳhuda nikale hain dandan na.e na.e
Leave a Reply