• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Umid-E-Mehr Par Ek Hasrat-E-dil Hum Bhi Rakhte The

Umid-E-Mehr Par Ek Hasrat-E-dil Hum Bhi Rakhte The

poet

umid-e-mehr par ik hasrat-e-dil ham bhi rakhte the

tamanna vasl ki ai mah-e-kamil ham bhi rakhte the

kabhi gulzar dagh-e-ishq se dil ham bhi rakhte hai

kabhi ik taaza gulshan ai anadil ham bhi rakhte the

kisi din to vo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hota

ki aghosh-e-tamanna shakl-e-sahil ham bhi rakhte the

alag tu bazm se uth kar jo sun leta to kah dete

ki kuchh kuchh iltija ai zeb-e-mahfil ham bhi rakhte the

hamen be-maut kyuun maara ajal tu kis liye aai

hava-e-bosa-e-shamshir-e-qatil ham bhi rakhte the

hamare dil ka uqda kyuun na ai ghuncha-dahan khola

havas bose ki thi thodi si mushkil ham bhi rakhte the

karen ab kya kahan dhundhen ganvaya ku-e-gesu men

kabhi yadash-ba-khair ai hamdamo dil ham bhi rakhte the

hamara imtihan o qadar-andaz lazim tha

dil-e-majruh-o-muztar jan-e-bismil ham bhi rakhte the

kiya pamal us ko kyuun na tum ne saath sabze ke

tumhare zer-e-pa ai jan-e-jan dil ham bhi rakhte the

nahin ab kasrat-e-dagh-e-junun se laeq-e-hadiya

kabhi dil peshkash karne ke qabil ham bhi rakhte the

haqarat se na dekho aaj ham ko ai pari-ruyo

kabhi tum sa koi zohra-shamail ham bhi rakhte the

ajab hai kya hui ulfat vo ai jaan donon janib ki

yahi dil tum bhi rakhte the yahi dil ham bhi rakhte the

yunhi shab bhar jala karte the yad-e-shoala-e-rukh men

yahi sozish kabhi ai sham-e-mahfil ham bhi rakhte the

lab-e-jan-bakhsh par kya fauq dete chashm-e-fattan ko

ki ‘anjum’ kuchh tamiz-e-haqq-o-batil ham bhi rakhte the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phirte Rahe Azal Se Abad Tak Udas Hum

Aa Gae Wo Mere KHayalon Mein

poet

Kyun Raaton Ko Jagiye Kar Ke Usko Yaad

Dil Par Sitam Hazar Kare Bewafa Ke Lab

Faza-E-Zehn Ki Jalti Hawa Badalne Tak

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet