takalluf nahin ham se zeba tumhara
tumhare hamare hamara tumhara
liya dil to lo jaan bhi kyon rahe ji
tamanna hamari taqaza tumhara
ye tasvir-chehra utar kyon gaya hai
khinche kis se ho kya hai naqsha tumhara
na tiir aah ka dast-e-qudrat men apne
na shamshir-e-abru pe qabza tumhara
chale ham to hasrat hi le kar raqibo
mubarak rahe tum ko pyara tumhara
raqibon se laḌne ka qissa na ponchho
fazihat hamari tamasha tumhara
na tahrir-e-ḳhat hai na bait abrvin hain
ye mazmun hamara vo fiqra tumhara
main apne hi jazbe ka qaa.il tha lekin
ghazab hai miri jaan ghussa tumhara
mujhe aur se kya main ashiq huun pyare
tumhara tumhara tumhara tumhara
sulaiman huun par yuun agar ḳhaak ho kar
amal men ho naqsh-e-kaf-e-pa tumhara
ḳhafa hote kyon ho ki rakhta hai pyare
na jazba hamara na jalva tumhara
‘nasim’ is chaman men gul-e-tar ki surat
phaTe kapḌe rakhte hain parda tumhara
Leave a Reply