tarh-e-kashan jise hijran-e-yar kahte hain
ham us ko vasl hamesha bahar kahte hain
rava-ravi men jo ḳhaka sa khinch gaya tha kabhi
use bhi motaqidan shah-kar kahte hain
vo mohmalat se nukte nikal sakta hai
ise fatanat-e-anqa shikar kahte hain
nahin hain san.at-e-zul-vaj.hatain ke qaa.el
ki harf-e-haq ho to ham ashkar kahte hain
bahar naam hai tahzib-e-mausam-e-dil ka
avaam mausam-e-gul ko bahar kahte hain
unhin se puchh ki ye isti.ara kis se hai
nafas ko jo nafs-e-musta.ar kahte hain
vafa na kar to hamari vafa ki daad hi de
tire firaq ko ham intizar kahte hain
yahin talak jo mire saath aa ke lauT ga.e
vo sang-e-mil ko sang-e-mazar kahte hain
kinar-e-yar vahan se bas ik shalang pe hai
vo jis ko kaj-kulahan auj-dar kahte hain
Leave a Reply