guzri hui vo rut kabhi aani to hai nahin
dil ne magar ye baat bhi maani to hai nahin
ai qissa-go ye lahja tira yuun kabhi na tha
kuchh to bata ye kya hai kahani to hai nahin
kuchh us ke muskurane se andaza ho to ho
andar ki choT hai nazar aani to hai nahin
phir us gali na jaane pe raazi hua to hai
ab ke bhi dil ne baat nibhani to hai nahin
vo baat ab kahan ki dilon ko kare ghulam
bas ik chamak hai aankh men paani to hai nahin
duniya tire liye jo guzari guzar di
ab ye jo rah ga.i hai ganvani to hai nahin
Leave a Reply