bala-e-jan mujhe har ek khush-jamal hua
chhuri jo tez hui pahle main halal hua
girau hua to use chhutna muhal hua
dil-e-gharib mira muflison ka maal hua
kami nahin tiri dargah men kisi shai ki
vahi mila hai jo muhtaj ka saval hua
dikha ke chehra-e-raushan vo kahte hain sar-e-sham
vo aftab nahin hai jise zaval hua
dukha na dil ko sanam ittihad rakhta huun
mujhe malal hua to tujhe malal hua
bujhaya ankhon ne vo rukh talash-e-mazmun men
khayal-e-yar mira sher ka khayal hua
tire shahid ke jeb-e-kafan men ai qatil
gulal se bhi hai rang-e-abir laal hua
buland khak-nashini ne qadr ki meri
uruuj mujh ko hua jab ki paemal hua
ghazab men yaar ke shan-e-karam nazar aai
banaya sarv-e-charaghan jise nihal hua
yaqin hai dekhte suufi to dam nikal jaata
hamare vajd ke aalam men hai jo haal hua
vo na-tavan tha irada kiya jo khane ka
gham-e-firaq ke danton men main khilal hua
kiya hai zaar ye teri kamar ke saude ne
pada jo aks mira aine men baal hua
dikhani thi na tumhen chashm-e-surmagin apni
nigah-e-naz se vahshat-zada ghazal hua
dahan-e-yar ke bose ki dil ne raghbat ki
khayal-e-kham kiya talib-e-muhal hua
raha bahar-o-khizan men ye haal saude ka
badha to zulf hua ghat gaya to khaal hua
junun men alam-e-tifli ki badshahat ki
khilauna ankhon men apni har ik ghazal hua
suna jamil bhi tera jo naam ai mahbub
hazar jaan se dil banda-e-jamal hua
likha hai ashiqon men apne tu ne jis ka naam
phir us ka chehra nahin umr bhar bahal hua
gunah kisi ne kiya thartharaya dil apna
araq araq hue ham jis ko infial hua
tire dahan o kamar ka jo zikr aaya yaar
guman-o-vahm ko kya kya na ehtimal hua
kamal kaun sa hai vo jise zaval nahin
hazar shukr ki mujh ko na kuchh kamal hua
tumhari abru-e-kaj ka tha duuj ka dhoka
siyah hota agar iid ka hilal hua
diya jo ranj tire ishq ne to rahat thi
firaq-e-talkh to shirin mujhe visal hua
vahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism ‘atish’
jab e’tida-e-anasir men ikhtilal hua
Leave a Reply