
Tilok Chand Mahroom
sitam koi naya ijad karna
to mujh ko bhi miri jaan yaad karna
qayamat hai dil-e-nalan qayamat
tira rah rah ke ye fariyad karna
chalo ab lutf hi ko azmao
tumhen aata nahin bedad karna
asir-e-zulf hai ‘mahrum’ un ka
jinhen aata nahin azad karna

Leave a Reply