is haqiqat ka hasin ḳhvabon ko andaza nahin
zindagi vo ghar hai jis men koi darvaza nahin
shab ke kaase men tha kitne mahtabon ka lahu
sub.h ke taare ko shayad is ka andaza nahin
rang la.egi kabhi to mere zaḳhmon ki shafaq
kya hua ru-e-tamanna par agar ghaza nahin
ek aansu huun ḳhushi ki aankh se ruTha hua
main kisi ki muntashir palkon ka shiraza nahin
kyuun bahar aati nahin dil ke ḳharabe ki taraf
kya tiri shadab zulfon ki hava taaza nahin
likh rahi hai kyuun miri ruhaniyat ayat-e-kufr
ye kahin duzdida ḳhvabon ka to ḳhamyaza nahin
kis ko dekha band darvazon ne ankhen khol kar
‘prem’ tujh ko un ki aamad ka bhi andaza nahin
Leave a Reply