mohabbat ki duniya men mashhur kar duun
miri sada-dil tujh ko maghrur kar duun
tire dil ko milne ki khud aarzu ho
tujhe is qadar gham se ranjur kar duun
mujhe zindagi duur rakhti hai tujh se
jo tu paas ho to use duur kar duun
mohabbat ke iqrar se sharm kab tak
kabhi samna ho to majbur kar duun
mire dil men hai shola-e-husn raqsan
main chahun to har zarre ko tuur kar duun
ye be-rangiyan kab tak ai husn-e-rangin
idhar aa tujhe ishq men chuur kar duun
tu gar samne ho to main be-khudi men
sitaron ko sajde pe majbur kar duun
siyah-khana-e-gham hai saaqi zamana
bas ik jaam aur nuur hi nuur kar duun
nahin zindagi ko vafa varna ‘akhtar’
mohabbat se duniya ko mamur kar duun
Leave a Reply