ḳhayal-o-ḳhvab ki ab rahguzar men rahta hai
ajiib shaḳhs hai aksar safar men rahta hai
kisi ka dekhna muḌ kar vo chashm-e-tar se mujhe
hamesha ab vahi manzar nazar men rahta hai
tamam raste muḌ kar yahin pahunchte hain
vo is ḳhayal se ab apne ghar men rahta hai
masarraton ke kinare to Duub jaate hain
safina dil ka ghamon ke bhanvar men rahta hai
kahan hai kaise bata.en yahi samajh liije
‘shakil’ ab to kisi chashm-e-tar men rahta hai
Leave a Reply