• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khub-Ruyan-E-Jahan Chand Ki Tanwiren Hain

Khub-Ruyan-E-Jahan Chand Ki Tanwiren Hain

poet

khub-ruyan-e-jahan chand ki tanviren hain

putliyan ankhon ki raushan hon vo tasviren hain

sher-goyon ko mazamin ki tauqiren hain

kahne ko ek zamin saikdon jagiren hain

yaar se hoti hai gustakh jo hoti ho so ho

zulfen hathon men hain ya paanv men zanjiren hain

koi adab-e-mohabbat ko bhala kya jaae

zillaten jitni hain ashiq ki vo tauqiren hain

karun tauba jo ho paida bun-e-har-mu se zaban

jitne hain mu-e-badan utni hi taqsiren hain

vo bhaven maar utarenge kisi din mujh ko

jin ke qabze men qaza hai ye vo shamshiren hain

qaul-e-haq par hue kab muttafiq ahl-e-duniya

ek quran hai jis ki kai tafsiren hain

kya yaqin aae mujhe hal-e-bahisht-o-dozakh

main huun jis khvab men sab us ki ye taabiren hain

saat dozakh kiye khalq us ne karimi us ki

ek hafte ki hamare liye taaziren hain

chaar inten huiin kis ke na mahall-e-nakhvat

maqbare aaj salatin ki tamiren hain

ek zarre ko jo qismat se na jumbish ho na ho

khaak udane ko to andhi miri tadbiren hain

koi khush-khvan ho qasid to bahut behtar hai

mere naame men tarane ki bhi tahriren hain

haddiyan jism men jalti hain palite ki tarah

ishq ke ism-e-jalali ki ye tasiren hain

dil ko har-vaqt jo rahti hai buton ki tasbih

apne nalon ko samajhta huun ki takbiren hain

‘bahr’ arzhang-e-jahan ka na tamashai ho

jin ka saaya hai bala us men vo tasviren hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Us Ada Se Bhi Hun Main Aashna Tujhe Itna Jis Pe Ghurur Hai

poet

Gham Ke Maron Ka Hai Sahaara Chand

nida-fazli

Har Taraf Har Jagah Be-Shumar Aadmi

abdullah-javed

duniya Ne Jab daraya To darne Mein Lag Gaya

Dard Mein Lazzat Bahut Ashkon Mein Ranai Bahut

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet