• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Zindagi Ke Tajrabaat Qimti Hain Bahut

Ye Zindagi Ke Tajrabaat Qimti Hain Bahut

poet

ye zindagi ke tajrabat qimti hain bahut

tumhare paak ḳhayalat qimti hain bahut

likhe the ham ne jo ashkon ki raushna.i se

vo ishq ke bhi maqalat qimti hain bahut

inhi se hoti hai me.araj ishq ko hasil

ye dard aur ye jazbat qimti hain bahut

nisab-e-ishq men puchhe ga.e hain jo aksar

javab chhoḌo savalat qimti hain bahut

hamare jiine ki Dharas yahi bandhati hain

tumhari yadon ki barat qimti hain bahut

vo jis ke ḳhvab men didar un ka ho jaa.e

qasam ḳhuda ki vahi raat qimti hai bahut

vo bol de to sabhi kuchh luTa ke ham rakh den

ye sach hai in ki har ik baat qimti hai bahut

hamare ashk yahan haisiyat nahin rakhte

tumhare ashkon ki saughat qimti hai bahut

vo lamhe jin men hamen yaad aap aa jaa.e

vahi hayat ke lamhat qimti hain bahut

ye jab bhi aate hain ashkon ko saath laate hain

ye ashk aur ye barsat qimti hain bahut

har ik safhe pe tera naam likh diya ‘haidar’

isi liye mire safhat qimti hain bahut

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHud Apne Ujale Se Ojhal Raha Hai Diya Jal Raha Hai

poet

Pesh-E-Ashiq Chashm-E-Giryan-O-Lab-E-KHandan Hai Ek

Ibtida Hun Ki Intiha Hun Main

Na Kisi Se Karam Ki Ummid Rakhen Na Kisi Ke Sitam Ka KHayal Karen

poet

Koi Ga de Mithi Lori Sajan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet