tira lutf atish-e-shauq ko had-e-zindagi se baḌha na de
kahin bujh na jaa.e charagh hi use dekh itni hava na de
tira gham hai daulat-e-dil tiri use ansuon men luTa na de
vahi aah naqd-e-hayat hai jise lab pe la ke ganva na de
miri zindagi ki haqiqaton ko na punchh aur main kya kahun
mira dost aaj vahi hai jo mujhe zindagi ki dua na de
yahi zindagi ne sabaq diya ki kabhi fareb-e-karam na kha
ye umiid rakh na kisi se tu ki miTa sake to miTa na de
mujh gham hi de na ḳhushi sahi na karam sahi to sitam sahi
magar itna kam bhi karam na ho ki tira sitam bhi maza na de
mire dil ki ḳhud ye majal thi ki vo sham-e-gham ko sahar kare
tiri yaad aa ke ghaḌi ghaḌi agar ansuon ko hansa na de
tire dil pe haq hai jahan ka bhi ye farar-e-ishq rava nahin
gham-dost ḳhuub hai jab talak gham-e-zindagi ko bhula na de
vo ḳhuda-e-husn hi kyuun na ho koi shai hai ghairat-e-ishq bhi
jo tiri sada pe khule na dar vo khule bhi jab to sada na de
mire dushmanon ke labon pe thi jo hansi vo ‘mulla’ ab uḌ chali
unhen Dar hai ab yahi gham mira miri zindagi ko bana na de
Leave a Reply