ḳhvahish-e-vasl to be-kar nahin kar sakta
vo miri diid se inkar nahin kar sakta
ek main huun ki tujhe pyaar bahut karti huun
ek tu hai ki ye iqrar nahin kar sakta
vaqt se aage nikalne ki tamanna hai mujhe
tez to paanv ki raftar nahin kar sakta
tu mire pyaar men da.ave to bahut karta hai
barmala pyaar ka iz.har nahin kar sakta
kuchh bhi kar sakta hai lekin vo mira dushman-e-jan
piiTh pichhe vo kabhi vaar nahin kar sakta
dekh sohni ki tarah tujh ko bhi dega ye dagha
ye ghaḌa tujh ko nadi paar nahin kar sakta
jo mujhe roz ye kahta hai ‘tabassum’ hai miri
vo mira daman-e-dil taar nahin kar sakta
Leave a Reply