yuun to dil har kadam rakhta hai
ahl-e-dil hona kaam rakhta hai
kab vo tama-e-salam rakhta hai
mujh sa lakhon ghulam rakhta hai
ishrat-e-do-jahan hai us ke saath
jo surahi-o-jam rakhta hai
hai vahi ḳhaas bazm-e-duniya men
jo madara-e-am rakhta hai
din-o-duniya ka jo nahin paband
vo faraghat tamam rakhta hai
but-paraston ko kui kahe hai zubun
kui musalman ko naam rakhta hai
har koi apni fahm-e-naqis men
puḳhta sauda-e-ḳham rakhta hai
jo kisu ko bura kahe na ‘huzur’
vahi fahm-mand naam rakhta hai
Leave a Reply