tan se jab tak saans ka rishta rahega
mere ashkon men tira hissa rahega
duur tak koi shanasa ho nahin ho
bhiiḌ men achchha magar lagta rahega
aise chhuTkara nahin dena hai us ko
main agar mar ja.un to kaisa rahega
tai to hai algav bas ye sochna hai
kaun si rut men ye dukh achchha rahega
ḳhud se meri sulh mumkin hi nahin hai
jab talak is ghar men a.ina rahega
yuun to ab bistar hai aur bimar lekin
saans lene men maza aata rahega
main ne kitne din kisi ko yaad rakkha
vo bhi kyuun mere liye rota rahega
Leave a Reply