aah hamraz kaun hai apna
bakht-e-na-saz kaun hai apna
kis ke kahlaen ham ki tere siva
but-e-tannaz kaun hai apna
baat kah de hai vo tah-e-dil ki
aisa ghammaz kaun hai apna
le udte tu hi gar na ham ko to phir
shauq-e-parvaz kaun hai apna
vasl hota nahin, nahin maalum
khalal-andaz kaun hai apna
bola dekh aaina vo hairat se
chehra-pardaz kaun hai apna
go ki ankhen ladaen ham us se
yaan nazar-baz kaun hai apna
shab-e-furqat men juz-dam-e-quliyan
yaar dam-saz kaun hai apna
be-niyazi kare jo tu hi to phir
ai hama-naz kaun hai apna
‘mushafi’ ham hain aur tanhai
sach hai ambaz kaun hai apna
Leave a Reply