
Sanjay Mishra Shauq
kuchh bhi samajh na paoge mere bayan se
dekha bhi hai zamin ko kabhi asman se
ham raushni ki bhiik nahin mangte kabhi
jugnu nikalte hain andheron ki kaan se
mahsus kar rahi hai zamin apne sar pe bojh
miTTi khisak ke girne lagi hai chaTan se
hansti hui bahar ka chehra utar gaya
barud ban ke lafz jo nikle zaban se
ham kyuun bana rahe hain unhen apna rahnuma
jo khelte hain roz hamari hi jaan se
qimat laga rahe hain hamare lahu ki vo
aur chahte hain uf na karen ham zaban se
karna hai apne gham ka izala bhi ḳhud hamen
barish na hogi amn ki ab asman se

Leave a Reply