inikas-e-tishnagi sahra bhi hai dariya bhi hai
tar-ba-tar ye raushni sahra bhi hai dariya bhi hai
aag par mera tasarruf aab par meri giraft
meri mutthi men abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
jhiil men thahra hua hai us ka aks-e-atishin
aaine men is ghadi sahra bhi hai dariya bhi hai
jal uthen yadon ki qindilen sadaen duub jaaen
dar-haqiqat khamushi sahra bhi hai dariya bhi hai
zinda laut aaya huun jangal se to kya ja-e-malal
mere raste men abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
koi kheme raakh kar de koi baazu chhin le
ek si gharat-gari sahra bhi hai dariya bhi hai
ret par rakhkhun tujhe ya bahte paani men bahaun
dekh ai tishna-labi sahra bhi hai dariya bhi hai
tu bagula hai ki hai girdab ai raqs-e-davam
faisla kar le abhi sahra bhi hai dariya bhi hai
dasht bhi us ki rivayat men hai mauj-e-ab bhi
meri ankhon ki nami sahra bhi hai dariya bhi hai
tu sambhalega bhala kaise ye saari saltanat
‘shahryar’-shaeri sahra bhi hai dariya bhi hai
Leave a Reply