use ab ke vafaon se guzar jaane ki jaldi thi
magar is baar mujh ko apne ghar jaane ki jaldi thi
irada tha ki main kuchh der tufan ka maza leta
magar bechare dariya ko utar jaane ki jaldi thi
main apni muTThiyon men qaid kar leta zaminon ko
magar mere qabile ko bikhar jaane ki jaldi thi
main aḳhir kaun sa mausam tumhare naam kar deta
yahan har ek mausam ko guzar jaane ki jaldi thi
vo shaḳhon se juda hote hue patton pe hanste the
baḌe zinda-nazar the jin ko mar jaane ki jaldi thi
main sabit kis tarah karta ki har a.ina jhuTa hai
ka.i kam-zarf chehron ko utar jaane ki jaldi thi
Leave a Reply