• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gunge Labon Pe Harf-E-Tamanna Kiya Mujhe

Gunge Labon Pe Harf-E-Tamanna Kiya Mujhe

parveen-shakir

gunge labon pe harf-e-tamanna kiya mujhe

kis kor-chashm-shab men sitara kiya mujhe

zakhm-e-hunar ko samjhe hue hai gul-e-hunar

kis shahr-e-na-sipas men paida kiya mujhe

jab harf-na-shanas yahan lafz-fahm hain

kyuun zauq-e-sher de ke tamasha kiya mujhe

khushbu hai chandni hai lab-e-ju hai aur main

kis be-panah raat men tanha kiya mujhe

di tishnagi khuda ne to chashme bhi de diye

siine men dasht ankhon men dariya kiya mujhe

main yuun sambhal gai ki tiri bevafai ne

be-e’tibariyon se shanasa kiya mujhe

vo apni ek zaat men kul kaenat tha

duniya ke har fareb se milva diya mujhe

auron ke saath mera taaruf bhi jab hua

hathon men haath le ke vo socha kiya mujhe

biite dinon ka aks na ainda ka khayal

bas khali khali ankhon se dekha kiya mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Chori Chori Aankh Ladte Mein dikha dun To Sahi

aleena-itrat

Nazm Takmil

kishwar-naheed

Khush Bayaban Mein Magar Shahr Mein darna Us Ka

aabid-adeeb

Main Apne Jism Mein Kuchh Is Tarah Se Bikhra Hun

Kaun Nikle Ghar Se Bahar Raat Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet