fasiq jo agar ashiq-e-divana hua to kya
duniya ke matalib ko farzana hua to kya
ghaflat men koi paḌ kar gar umr ko kho Daale
ba.ad is ke agar samjha phir syana hua to kya
ye umr ghanimat hai jo dam ki guzarta hai
gar ḳhana hua to kya virana hua to kya
nazzara to kar ai dil ho shaan men dilbar ka
gar bhuka jo Tal jaave phir khana hua to kya
de jaam talattuf se saaqi ba-lab-e-tishna
dil pyaas se jab kumla paimana hua to kya
hai kaam sute matlab bar aave kisi Dhab se
ka.aba jo hua to kya but-ḳhana hua to kya
jo mard-e-yagana hai nafs apne se laḌta hai
gar aur tarah koi mardana hua to kya
uljha hai ye dil pyare zulf apni ko suljhave
jab mar ga.e jaani ham phir shana hua to kya
mukhḌe ki jhamak sajan Tuk ham ko bhi dikhlao
gar aage raqibon ke jhamkana hua to kya
gar sair mayassar ho tujh husn ke baghistan
ba.ad is ke agar mujh ko mar jaana hua to kya
dil apne begane se kuchh ham ne na phal paaya
gar apna hua to kya begana hua to kya
kahta tha main is dil ko ashiq to nahin hona
ab bas ke agar samjha pachhtana hua to kya
mastana hamesha raho ai ashiq-e-‘afridi’
be-ishq agar koi mardana hua to kya
Leave a Reply