ye rang hai to kahāñ zabt kā rahegā bharam
na ab vo nāz-e-taġhāful na mujh pe jaur-o-sitam
ye shāḳh-e-gul hai ki dil kī jarāhatoñ kā alam
har ek gul nazar aatā hai zaḳhm-e-be-marham
ġhubār-e-rāh kahīñ hai na koī naqsh-e-qadam
abhī abhī to yahīñ the musāfirān-e-adam
ab aa ga.e haiñ to ādāb-e-mai-kashī kī qasam
bas ek jām-e-rifāqat janāb-e-shaiḳh-e-haram
uThā thā kaun ye mīnā-ba-dosh-o-jām-ba-kaf
ki aaj TuuT ke barsā hai abr-e-be-mausam
kabhī hayā ne kabhī kibr-e-husn ne rokā
rahī to un kī tavajjoh idhar magar kam-kam
magar hai fitrat-e-insāñ meñ āzarī pinhāñ
tarāshtā hai har ik shaḳhs ḳhvāhishoñ ke sanam
unheñ bhī tark-e-ta.alluq kā ‘rāz’ ġham hai magar
baḌhegī baat agar ho ga.ī vo aañkh bhī nam