duur tak charon taraf mere siva koi na tha
phir palak jhapki to kya dekha ki ḳhud main bhi na tha
ik taḌap bijli ki aur divar-o-dar miTTi ke Dher
ik taḌap sho.ale ki aur dariyaon men paani na tha
da.ere banti sada.en chhu ke jab hadd-e-ufuq
apne markaz ki taraf lauTin to kuchh baaqi na tha
qaid-e-zindan-e-jasad men tha ye kab kashf-e-vajud
aur bhi kuchh tha main sirf ik paikar-e-ḳhaki na tha
kya ḳhabar tum ne kahan kis ruup men dekha mujhe
main kahin moti kahin patthar kahin a.ina tha
den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se
koi saa.at koi lamha koi pal ḳhali na tha
aarzu la.al-o-gohar ki kis liye karta ‘bashir’
harf-o-ma.ani ka ḳhazina kya use kaafi na tha
Leave a Reply