Lakh Samjhaya Magar Zid Pe aDi Hai Ab Bhi

laakh samjhāyā magar zid pe aḌī hai ab bhī

koī ummīd mere pīchhe paḌī hai ab bhī

shahr-e-tanhā.ī meñ mausam nahīñ badlā karte

din bahut chhoTā yahāñ raat baḌī hai ab bhī

maan luuñ kaise yahāñ dariyā nahīñ thā logo

dekh lo ret pe ik kashtī paḌī hai ab bhī

chhat meñ kuchh chhed haiñ ye raaz batāne ke liye

dhuup ḳhāmoshī se kamre meñ khaḌī hai ab bhī

vaqt ne nām-o-nasab chhīn liyā hai lekin

ġhaur se dekh mirī naak baḌī hai ab bhī

āsmāñ tū ne chhupā rakkhā hai sūraj ko kahāñ

kyuuñ kalā.ī meñ tirī band ghaḌī hai ab bhī

manzileñ detī haiñ āvāz ki jaldī aao

peḌ kahte haiñ ruko dhuup kaḌī hai ab bhī

Leave a Comment