ye ishq bhi ajiib hai ik aan ho gaya
insan saari umr ko hairan ho gaya
vo shaḳhs kya gaya hai idhar se ki shahr-e-dil
phir dekhte hi dekhte viran ho gaya
is gham ne kaisi shakl badal li ki kal talak
dushman tha meri jaan ka ab jaan ho gaya
vo zulf mere baazu pe bikhri nahin to main
us zulf se ziyada pareshan ho gaya
hai saltanat hi meri na lashkar mira magar
main bad-nasib jang ka maidan ho gaya
main us ko zinda dekh ke ḳhush ho gaya ‘shafaq’
vo mujh ko zinda dekh ke hairan ho gaya
Leave a Reply