kya koi samjhega afsana mira
haal hai sab se judagana mira
mai pilana hai to yuun saaqi pila
ho kabhi ḳhali na paimana mira
tum bana lete ho apni dastan
jab ulaT jaata hai afsana mira
zarf mera meri himmat dekh kar
chuum lete hain vo paimana mira
ai ‘munavar’ main huun ik azad mard
mashrab-o-maslak hai rindana mira
Leave a Reply