• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya

Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya

qalaq aa gaya iztirab aa gaya

ye dil kya gaya ik azaab aa gaya

lifafe men purze mire ḳhat ke hain

mire ḳhat ka aḳhir javab aa gaya

idhar baḌhte baḌhte baḌha dast-e-shauq

udhar aate aate hijab aa gaya

kaha us ne dekha jo dar par mujhe

kahan se ye ḳhana-ḳharab aa gaya

jabin pur-shikan hai nigah sho.ala-rez

ye kaun aaj zer-e-itab aa gaya

sikandar nasibe ka hai vo faqir

tire dar se jo kamyab aa gaya

ye aalam hua tabish-e-husn se

sava neze par aftab aa gaya

hue hi the amada tauba pe ham

ki gardish men jam-e-sharab aa gaya

hui qa.il-e-jalva-e-tur ḳhalq

sar-e-bam vo be-naqab aa gaya

ye kya kam hai ai shaiḳh mai ka javaz

vo ka.abe se uTh kar sahab aa gaya

uTha.e ga.e bazm se bul-havas

unhen sheva-e-intiḳhab aa gaya

adu saath rahne lage ai ‘vafa’

gahan men mira aftab aa gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pesh-E-Zamin Rahun Ki Pas-E-Asman Rahun

poet

Kabe Hi Ka Ab Qasd Ye Gumrah Karega

miTTi Pe Koi Naqsh Bhi Ubhra Na Rahega

abroo-shah-mubarak

Husn Par Hai Khub-Ruyan Mein Wafa Ki Khu Nahin

momin-khan-momin

Shokh Kahta Hai Be-Haya Jaana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet