dhuup ke jaate hi mar ja.unga main
ek saaya huun bikhar ja.unga main
e’tibar-e-dosti ka rang huun
be-yaqini men utar ja.unga main
din ka saara zahr pi kar, aaj phir
raat ke bistar pe mar ja.unga main
phir kabhi tum se milunga rasto!
lauT kar filhal ghar ja.unga main
us se milne ki talab men a.unga
aur bas, yuun hi guzar ja.unga main
main ki ilzam-e-mohabbat huun ‘nabil’
kya ḳhabar kis kis ke sar ja.unga main
Leave a Reply