ye lafz lafz sho.ala-bayani usi ki hai
himmat hai aur kis men kahani usi ki hai
takmil ho rahi hai bichhaḌne ke bavajud
baaqi ki zindagi bhi kahani usi ki hai
rut aa ga.i na.i to use dekh kar laga
shayad ye koi yaad purani usi ki hai
manzar men aur kya hai ye dekha nahin abhi
lekin ye hai jo oḌhni dhani usi ki hai
main to bahut dinon se ye kahta tha aaj to
sab ne kaha ye shaam suhani usi ki hai
ik sang hai ki jiine ka jis ko mila hai hukm
is dil ki dhaḌkanon men ravani usi ki hai
ḳhat ho koi kitab ho ya dil ka zaḳhm ho
jo bhi hai mere paas nishani usi ki hai
Leave a Reply