hue ho kis liye barham azizam
sar-e-taslim hai lo kham azizam
charagh-e-hujra-e-jan ki khabar lo
labon par aa gaya hai dam azizam
nahin bharta ye zakhm-e-hijr apna
lagao vasl ka marham azizam
tum aate ho to dam aata hai goya
tum aate ho magar kam kam azizam
nabud-o-bud ki is kashmakash men
ajab hai halat-e-paiham azizam
tu hi tu hai main qatra tu samundar
ye man aanam ki man danam azizam
hami hain kushtagan-e-vaqt-e-rafta
aziz-az-jan hain ye gham azizam
vajud-e-rafta-e-raftar-e-manzil
sara-e-hasti-e-alim azizam
khumar-e-tishna-kami chashm-e-goyam
shunidan aks-e-jam-e-jam azizam