aghaz se anjam-e-safar dekh raha huun
dekha nahin jaata hai magar dekh raha huun
tairak lagatar yahan Duub rahe hain
chup-chap main dariya ka hunar dekh raha huun
is ḳhvab ki ta.abir koi mujh ko bata de
manzil se bhi aage ka safar dekh raha huun
us shaḳhs ke honTon pe mira zikr bahut hai
main apni duaon ka asar dekh raha huun
jo tujh ko bahut duur kabhi le ga.i mujh se
main kab se vahi rahguzar dekh raha huun
ik umr se qaa.em hai ye raton ki hukumat
ik umr se main ḳhvab-e-sahar dekh raha huun
Leave a Reply