ik ahl-e-ilm se ik nukta-var se nikla tha
vo aib tha jo mata-e-hunar se nikla tha
tamam umr vo phir lauT kar nahin aaya
na jaane kaun si saa.at men ghar se nikla tha
samajh rahe hain sabhi asman ko manzil
ye silsila mire zauq-e-safar se nikla tha
vahi to de gaya divar-o-dar ko virani
jo sabza kal inhin divar-o-dar se nikla tha
bana diya unhin lafzon ne jism ko suraj
jo harf harf zaban-e-‘sharar’ se nikla tha
Leave a Reply