• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHush Tha Ki Uske Pyar Ka Iqrar Le Liya

KHush Tha Ki Uske Pyar Ka Iqrar Le Liya

ḳhush tha ki us ke pyaar ka iqrar le liya

aisa na ho ki jaan ka azar le liya

us ki dukan men kuchh to alag baat thi zarur

varna ye kyuun ki ḳhvab ḳharidar le liya

kam kam hi kholna tha ma.ishat ke badban

kyuun naḳhuda ne bar-e-ziyan-kar le liya

shayad ki baghban ki baqa bhi isi men thi

shaḳhon ke sar se phuul ki dastar le liya

ahan-garon ne saaz mashinon ka chhin kar

dast-e-hunar se naghma-e-sarshar le liya

itna kaha ki pyaar men sehhat bhi chahiye

phir hans ke mere haath se aḳhbar le liya

yuun lafziyat-e-ishq ke paikar badal ga.e

ma.ani ke lab se shoḳhi-e-iz.har le liya

zaḳhmon ke nau-ratan se tha gulzar qasr-e-dil

nadan ne shah-e-faqr ka darbar le liya

miTTi hamare gaanv ki kachchi na thi ‘shahab’

naddi ke ik kaTav ne ghar-bar le liya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ishq Mein Dil Ban Ke Diwana Chala

Safar Se lauT Jaana Chahta Hai

ahmad-kamran

Khwab Yun Hi Nahin Hote Pure

poet

Fasl Ki Jalwagari Dekhta Hun

Hai Barham Phir Mizaj Un Ka Dil-E-Nakaam Kya Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet