go sab ko baham saghar o baada to nahin tha
ye shahr udaas itna ziyada to nahin tha
galiyon men phira karte the do chaar divane
har shakhs ka sad chaak labada to nahin tha
manzil ko na pahchane rah-e-ishq ka raahi
nadan hi sahi aisa bhi saada to nahin tha
thak kar yunhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na utthen ye irada to nahin tha
vaaiz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
farq in men koi itna ziyada to nahin tha
Leave a Reply