ab to sahra men rahenge chal ke divanon ke saath
dahr men mushkil hua jiina jo farzanon ke saath
ḳhatm ho ja.enge qisse kal ye divanon ke saath
phir inhen dohraoge tum kitne unvanon ke saath
bazm men ham ko bula kar aap uTh kar chal diye
kya suluk-e-narava jaa.ez hai mehmanon ke saath
nafraten phaila rahe hain kaisi shaiḳh-o-barahman
kya shumar in ka karenge aap insanon ke saath
un ki ankhon ki gulabi se jo ham maḳhmur hain
ik ta.alluq hai qadimi ham ko paimanon ke saath
har taraf ku-e-butan men hasraton ka hai hujum
ek dil laa.e the ham to apna armanon ke saath
kal talak danaon ki sohbat men the sab ke imaam
aaj kaise sust hain yuun shaiḳh na-danon ke saath
un ki ankhen ik taraf ye jam-o-mina ik taraf
kis tarah gardish men hain paimane paimanon ke saath
ashiqon ke dil men shab fanus raushan ho ga.e
sham.a ka jiina hai lazim apne parvanon ke saath
haif gulzar-e-jahan men gul yagane ho ga.e
lahlaha kar ab rahega sabza beganon ke saath
Leave a Reply